Mohsin Naqvi

hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke KHak hua

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996

havā-e-hijr meñ jo kuchh thā ab ke ḳhaak huā

ki pairahan to gayā thā badan bhī chaak huā

ab us se tark-e-ta.alluq karūñ to mar jā.ūñ

badan se ruuh is darja ishtirāk huā

yahī ki sab kamāneñ hamīñ pe TuuTī haiñ

chalo hisāb-e-saf-e-dostāñ to paak huā

vo be-sabab yūñhī rūThā hai lamha-bhar ke liye

ye sāneha na sahī phir bhī karb-nāk huā

usī ke qurb ne taqsīm kar diyā āḳhir

vo jis hijr mujhe vaj.h-e-inhimāk huā

shadīd vaar na dushman diler thā 'mohsin'

maiñ apnī be-ḳhabarī se magar halāk huā

Top Urdushayar.com