saare  lahje  tire  be-zamāñ  ek  maiñ
is  bhare  shahr  meñ  rā.egāñ  ek  maiñ
vasl  ke  shahr  kī  raushnī  ek  tū
hijr  ke  dasht  meñ  kārvāñ  ek  maiñ
bijliyoñ  se  bharī  bārisheñ  zor  par
apnī  bastī  meñ  kachchā  makāñ  ek  maiñ
hasratoñ  se  aTe  āsmāñ  ke  tale
jaltī-bujhtī  huī  kahkashāñ  ek  maiñ
mujh  ko  fāriġh  dinoñ  kī  amānat  samajh
bhūlī-bisrī  huī  dāstāñ  ek  maiñ
raunaqeñ  shor  mele  jhamele  tire
apnī  tanhā.ī  kā  rāz-dāñ  ek  maiñ
ek  maiñ  apnī  hī  zindagī  kā  bharam
apnī  hī  maut  par  nauha-ḳhvāñ  ek  maiñ
us  taraf  sañg-bārī  har  ik  baam  se
is  taraf  ā.inoñ  kī  dukāñ  ek  maiñ
vo  nahīñ  hai  to  'mohsin'  ye  mat  sochnā
ab  bhaTaktā  phiruñgā  kahāñ  ek  maiñ