Mohsin Naqvi

jab hijr ke shahr mein dhup utri main jag paDa to KHwab hua

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
jab hijr ke shahr meñ dhuup utrī maiñ jaag paḌā to ḳhvāb huā
mirī soch ḳhizāñ kī shāḳh banī tirā chehra aur gulāb huā
barfīlī rut kī tez havā kyuuñ jhiil meñ kañkar pheñk ga.ī
ik aañkh kī niiñd harām huī ik chāñd kā aks ḳharāb huā
tire hijr meñ zehn pighaltā thā tire qurb meñ āñkheñ jaltī haiñ
tujhe khonā ek qayāmat thā tirā milnā aur azaab huā
bhare shahr meñ ek hī chehra thā jise aaj bhī galiyāñ DhūñDtī haiñ
kisī sub.h usī kī dhuup khilī kisī raat vahī mahtāb huā
baḌī umr ke ba.ad in āñkhoñ meñ koī abr utrā tirī yādoñ kā
mire dil kī zamīñ ābād huī mire ġham kā nagar shādāb huā
kabhī vasl meñ 'mohsin' dil TuuTā kabhī hijr kī rut ne laaj rakhī
kisī jism meñ āñkheñ kho baiThe koī chehra khulī kitāb huā
Top Urdushayar.com