kis  ne  sañg-e-ḳhāmoshī  pheñkā  bhare-bāzār  par
ik  sukūt-e-marg  taarī  hai  dar-o-dīvār  par
tū  ne  apnī  zulf  ke  saa.e  meñ  afsāne  kahe
mujh  ko  zanjīreñ  milī  haiñ  jur.at-e-iz.hār  par
shāḳh-e-uriyāñ  par  khilā  ik  phuul  is  andāz  se
jis  tarah  taaza  lahū  chamke  na.ī  talvār  par
sañg-dil  ahbāb  ke  dāman  meñ  rusvā.ī  ke  phuul
maiñ  ne  dekhā  hai  nayā  manzar  farāz-e-dār  par
ab  koī  tohmat  bhī  vaj.h-e-karb-e-rusvā.ī  nahīñ
zindagī  ik  umr  se  chup  hai  tire  isrār  par
maiñ  sar-e-maqtal  hadīs-e-zindagī  kahtā  rahā
uñgliyāñ  uThtī  rahīñ  'mohsin'  mire  kirdār  par