Mohsin Naqvi

ghazlon ki dhanak oDh mere shoala-badan tu

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ġhazloñ kī dhanak oḌh mire sho.ala-badan tū
hai merā suḳhan tū mirā mauzū-e-suḳhan tū
kaliyoñ kī tarah phuuT sar-e-shāḳh-e-tamannā
ḳhushbū kī tarah phail chaman-tā-ba-chaman tū
nāzil ho kabhī zehn pe āyāt kī sūrat
āyāt meñ Dhal jā kabhī jibrīl dahan tū
ab kyuuñ na sajā.ūñ maiñ tujhe diida o dil meñ
lagtā hai añdhere meñ savere kī kiran tū
pahle na koī ramz-e-suḳhan thī na kināya
ab nuqta-e-takmīl-e-hunar mehvar-e-fan tū
ye kam to nahīñ tū mirā meyār-e-nazar hai
ai dost mire vāste kuchh aur na ban tū
mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jāñ meñ
DhūñDegā kahāñ chāñdnī rātoñ kā kafan tū
Top Urdushayar.com