Noor Bijnauri

zalzala aaya wo dil mein waqt ki raftar se

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
zalzala aayā vo dil meñ vaqt kī raftār se
ḳhud-baḳhud tasvīr terī gir paḌī dīvār se
chupke chupke khīñchtā jaatā huuñ kāñToñ kā hisār
maiñ ki ab Darne lagā huuñ phuul kī mahkār se
ham balā-noshoñ ne zahr-e-āgahī bhī pī liyā
chalte chalte ham bhī Thokar khā ga.e kohsār se
jin ko āñkhoñ se lagāyā jin ko ro ro kar paḌhā
haa.e vo ḳhat bhī nazar aane lage bekār se
dīda-e-yāqūb har chehre meñ hai girya-kunāñ
ham bahut uktā ga.e haiñ misr ke bāzār se
ham se shikva kar rahā thā aaj dāmān-e-tahī
toḌ laa.e māh-o-anjum fikr ke gulzār se
'nūr' sāhab khul na jaa.e tark-e-ulfat kā bharam
aap kī ḳhāmoshiyoñ se aap ke ash.ār se
Top Urdushayar.com