Noor Bijnauri

jagmag jagmag uski aankhen mera sina julta tha

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
jagmag jagmag us kī āñkheñ merā siina jultā thā
chāñd hamāre aage aage mash.al le kar chaltā thā
rāhguzar thī mahkī mahkī ek tilismī ḳhushbū se
tez havā meñ us kā āñchal kyā kyā rañg badaltā thā
jhilmil jhilmil karte sapne pahlī pahlī chāhat ke
sīna-e-shab par is ke qadam the yā ḳhurshīd nikaltā thā
phuul sā chehra dahkā dahkā zulfoñ kī shādābī meñ
ālam-e-imkāñ chupke chupke apnī āñkheñ maltā thā
surḳh laboñ kī pañkhuḌiyāñ jab haule se khil jaatī thiiñ
qaus-e-quzah kā resham un par shabnam-vār machaltā thā
ek parinda chīḳh rahā thā masjid ke mīnāre par
duur kahīñ gañgā ke kināre aas kā sūraj Dhaltā thā
shahr-e-vafā meñ jā nikle the ham bhī nuur se milne ko
vo dīvāna ik parchhā.īñ ke hamrāh Tahaltā thā
Top Urdushayar.com