terī  yādoñ  meñ  kho.e  raheñ  merī  jaañ
itnī  mohlat  kise  itnī  fursat  kahāñ
jis  jagah  Tap  se  aañsū  kā  qatra  girā
ek  sho.ala  sā  bhaḌkā  vahīñ  nā-gahāñ
ham  se  kyā  pūchhte  ho  hameñ  kyā  ḳhabar
aag  kyuuñ  lag  ga.ī  āshiyāñ  āshiyāñ
ham  bhaTakte  rahe  dasht-e-zulmāt  meñ
phuul  hañste  rahe  gulsitāñ  gulsitāñ
haa.e  vo  ajnabī  log  ik  shahr  ke
āshnā  āshnā  mehrbāñ  mehrbāñ
sach  hai  tū  ne  kabhī  mujh  ko  chāhā  na  thā
dil  kahāñ,  ek  hone  kī  sūrat  kahāñ
tū  ne  kab  mujh  se  bāñdhā  thā  ahd-e-vafā
ḳhārzāroñ  meñ  bastī  nahīñ  titliyāñ
'nūr'  tārīkiyāñ  is  qadar  baḌh  ga.iiñ
miT  ga.e  chāñd  rātoñ  ke  saare  nishāñ