yuuñ  nahīñ  chain  to  ġhaflat  kā  sitam  aur  sahī
ham  ye  samjheñge  ki  afzā.ish-e-ġham  aur  sahī
tum  na  aaoge  to  kyā  jaan  na  jā.egī  mirī
āmad-o-raft  nafas  kī  koī  dam  aur  sahī
kahte  haiñ  zulm  ke  ba.ad  aah  karoge  to  kyā
lashkar-e-jaur-o-jafā  meñ  ye  alam  aur  sahī
jhuk  ke  milne  se  tumhāre  mujhe  ḳhauf  aatā  hai
go  ye  ḳham  aur  sahī  teġh  kā  ḳham  aur  sahī
asl  meñ  jalva  ye  kis  kā  hai  tū  hī  kah  vaa.iz
terā  rab  aur  sahī  merā  sanam  aur  sahī
va.ada-e-vasl  kī  takrār  pe  kahte  haiñ  ki  jhuuT
inhīñ  ahdoñ  meñ  tire  sar  kī  qasam  aur  sahī
jashn-e-jamshed  mayassar  hai  ki  dil  rakhte  haiñ
jaam  ye  aur  sahī  sāġhar-e-jam  aur  sahī
ḳhuub  hai  tum  meñ  jafā  kī  na  rahegī  aadat
mere  badle  bhī  raqīboñ  pe  karam  aur  sahī