na  zinda  na  murda  na  duniyā  na  diiñ  kā
mujhe  tū  ne  zālim  na  rakkhā  kahīñ  kā
abas  imtihāñ  meñ  lagāte  ho  vaqfa
bharosā  hai  kyā  merī  jān-e-hazīñ  kā
mujhe  ghar  meñ  gardish  hai  patlī  kī  sūrat
ye  e.ajāz  hai  chashm-e-sehr-āfrīñ  kā
purānā  na  fitna  tire  ghar  se  uTThā
nayā  āsmāñ  hai  magar  is  zamīñ  kā
kabhī  mere  tan  meñ  kabhī  us  ke  ghar  meñ
yahī  shaġhl  hai  merī  jān-e-hazīñ  kā
ġhazab  hai  mirī  us  se  takrār-e-va.ada
sitam  hai  jo  mauqa.a  milā  ab  nahīñ  kā
sunā  tū  ne  'āqil'  ajab  raat  guzrī
mohabbat  kā  mazkūr  niklā  kahīñ  kā