dil  ko  ujḌe  hue  biite  haiñ  zamāne  kitne
kilk-e-taqdīr  ne  luuTe  haiñ  ḳhazāne  kitne
bhuul  jaatā  huuñ  magar  sach  to  yahī  hai  barsoñ
tum  se  vābasta  rahe  ḳhvāb  suhāne  kitne
dil  dukhātī  hī  rahī  gardish-e-ayyām  magar
ham  bhī  masrūf  rahe  ḳhud  bhī  na  jaane  kitne
ek  ham  aur  ye  dushnām-tarāzī  tauba
apne  atrāf  rahe  ā.ina-ḳhāne  kitne
ik  nazar  dekh  liyā  thā  kisī  gul  kī  jānib
nukta-chīnoñ  ne  tarāshe  haiñ  fasāne  kitne
gar  nahīñ  vasl  to  phir  bāda-o-sāġhar  hī  sahī
dil  ne  DhūñDe  haiñ  dhaḌakne  ke  bahāne  kitne
umr-e-rafta  ko  jo  āvāz  kabhī  dī  ham  ne
khul  ga.e  zaḳhm  ka.ii,  baab  purāne  kitne
ġhamza-o-ramz  meñ  'salmān'  tafāvut  rakhte
aur  ā.eñge  tumheñ  naaz  dikhāne  kitne