sūd-o-ziyāñ  ke  baab  meñ  haare  ghaḌī  ghaḌī
sāñsoñ  ke  qarz  ham  ne  utāre  ghaḌī  ghaḌī
chaltī  rahī  havā-e-muḳhālif  tamām  raat
girte  rahe  falak  se  sitāre  ghaḌī  ghaḌī
thamtī  hai  roz  gardish-e-sāġhar  magar  ḳhumār
chaltā  hai  saath  saath  hamāre  ghaḌī  ghaḌī
ab  hijr  na  visāl  na  saudā  tire  baġhair
dukhtā  hai  dil  bhī  dard  ke  maare  ghaḌī  ghaḌī
ai  raḳhsh-e-nāz  muḌ  ke  zarā  dekh  to  sahī
yādoñ  ke  dar  se  kaun  pukāre  ghaḌī  ghaḌī
'salmān'  phir  chalā  hai  usī  bazm-e-nāz  meñ
kam-zarf  apne  baal  sañvāre  ghaḌī  ghaḌī