Faragh Rohvi

hamare sath umid-e-bahaar tum bhi karo

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956

hamāre saath umīd-e-bahār tum bhī karo

is intizār ke dariyā ko paar tum bhī karo

havā ruḳh to kisī pal badal bhī saktā hai

us ek pal zarā intizār tum bhī karo

maiñ ek jugnū añdherā miTāne niklā huuñ

ridā-e-tīra-shabī taar taar tum bhī karo

tumhārā chehra tumheñ hū-ba-hū dikhā.ūñgā

maiñ aa.ina huuñ mirā e'tibār tum bhī karo

zarā baat pe kyā kyā na kho diyā maiñ ne

jo tum ne khoyā hai us shumār tum bhī karo

mirī anā to takalluf meñ paash paash huī

duā-e-ḳhair mire haq meñ yaar tum bhī karo

agar maiñ haath milā.ūñ to ye zarūrī hai

ki saaf siine apne ġhubār tum bhī karo

koī zarūrī nahīñ hai ki sab tarah 'farāġh'

zamāne vaalī ravish iḳhtiyār tum bhī karo

Top Urdushayar.com