ḳhud  se  us  ne  najāt  pā  lī  hai
raah  'navnīt'  ne  nikālī  hai
ḳhushk  āñkhoñ  ke  ās-pās  kahīñ
dil  ne  ik  jhiil  sī  banā  lī  hai
lahlahāte  haiñ  dard  ke  paude
ishq  kā  bāġh,  yaad  maalī  hai
rauñd  jaatā  hai  ye  kināroñ  ko
ise  dariyā  kaheñ?  mavālī  hai
ek  tasvīr  ko  haTāyā  bas
dil  kī  dīvār  ḳhālī  ḳhālī  hai
aap  kā  naam  bhī  nahīñ  lete
pyaas  hoñToñ  pe  ab  sajā  lī  hai
ai  thakan  kuchh  to  bol,  kyā  tū  ne
manziloñ  meñ  jagah  banā  lī  hai
maiñ  huā  kāmyāb  mar  kar  bhī
aañkh  qātil  ne  vo  jhukā  lī  hai
kyā  bharosa  mileñ  vo  yā  na  mileñ
ham  ne  ik  aarzū  kamā  lī  hai