binā  ro.e  guzarnā  us  galī  se
lagā  aisā  ga.e  ham  zindagī  se
jiyā  huuñ  umr  bhar  maiñ  bhī  akelā
use  bhī  kyā  milā  nārāzgī  se
huuñ  jiskā  muntazir  agle  janam  tak
milī  to  kyā  kahūñgā  us  parī  se
lahū  meñ  roz  apne  hī  nahānā
maiñ  aajiz  aa  gayā  huuñ  shā.erī  se
jhalak  ik  maut  kī  dekhe  to  mānūñ
jise  Dar  lag  rahā  hai  zindagī  se
koī  phir  se  dilā.e  ek  jīvan
thakan  hotī  nahīñ  āvārgī  se
ka.ī  jazboñ  kā  ghar  thā  jaise  maiñ  bhī
mirī  parteñ  khulīñ  dīvāngī  se
ka.ī  chehre  dikhe  par  ba.ad  un  ke
mohabbat  ho  ga.ī  be-chehragī  se
kisī  sūrat  alag  hone  na  paa.ī
tirī  tasvīr  merī  shā.erī  se
khaḌā  jab  se  huuñ  maiñ  apne  muqābil
ulajhtā  hī  nahīñ  huuñ  maiñ  kisī  se
tirī  yādeñ  haiñ  yā  sūraj  hai  koī
ye  āñkheñ  bujh  rahī  haiñ  raushnī  se
umīdeñ  thī  hameñ  bhī  chāñd  se  par
mohabbat  hai  use  ab  tīrgī  se
zarūrat  kyā  hai  man  meñ  jhāñkne  kī
karo,  gar  baat  kar  paao  nadī  se
mire  aañsū  jo  tum  jharne  se  bah  jaao
samundar  tak  pahuñch  jā.ūñ  isī  se