yuuñ  hī  galiyoñ  meñ  muqaddar  dar-ba-dar  merā  bhī  hai
kyuuñ  nahīñ  suntā  mirī  tū  kuchh  agar  merā  bhī  hai
qātiloñ  ko  ab  sazā  ho  yā  na  ho  lekin  kisī
hāshiye  par  ik  bayān-e-muḳhtasar  merā  bhī  hai
maiñ  bhī  jūjhā  huuñ  havā  se  us  kabūtar  kī  tarah
dekh  vo  āñdhī  meñ  uḌtā  ek  par  merā  bhī  hai
paañv  tere  rāste  tere  safar  terā  magar
kyuuñ  pasīne  meñ  badan  phir  tar-ba-tar  merā  bhī  hai
dard  kī  vaadī  meñ  aahoñ  kā  mohalla  hai  jahāñ
bas  vahīñ  pahlī  saḌak  par  ek  ghar  merā  bhī  hai
yuuñ  na  ho  maiñ  baiTh  jā.ūñ  terī  paichal  ke  baġhair
dhuup  meñ  sahrā  kī  uktāyā  safar  merā  bhī  hai
kaisā  pāgal-pan  ki  us  ke  shahr  meñ  denī  hai  jaan
ab  kahāñ  huuñ  maiñ  akelā  ham-safar  merā  bhī  hai
ik  uchaTtī  sī  nazar  ḳhālī  mohabbat  kī  nazar
āsmāñ  ik  chāhiye  mujh  ko  ki  sar  merā  bhī  hai
saath  hoñge  ham  to  sach  meñ  phuul  khilte  jā.eñge
aap  kā  hī  bas  nahīñ  tanhā  safar  merā  bhī  hai
ḳhud  se  bhī  miltā  nahīñ  maiñ  tujh  gale  milne  ke  ba.ad
saath  rakhne  meñ  tirī  ḳhushbū  hunar  merā  bhī  hai
jab  bhī  kuchh  maiñ  ne  kahā  kyuuñ  aap  tak  pahuñchā  nahīñ
aap  kā  qāsid  yaqīnan  nāma-bar  merā  bhī  hai