rāste  se  ga.e  haTā.e  ham
phir  bhī  manzil  ke  paas  aa.e  ham
the  haqīqat  nazar  na  aa.e  ham
jab  hue  ḳhvāb  jagmagā.e  ham
go  chale  the,  pahuñch  na  paa.e  ham
ham  vahīñ  haiñ  jahāñ  se  aa.e  ham
apnā  bādal  talāshne  ke  liye
umar  bhar  dhuup  meñ  nahā.e  ham
manzileñ  un  kī  har  safar  un  kā
rāste  the  bane-banā.e  ham
shor  din  kā  pilā  gayā  chuppī
niiñd  aa.ī  to  baḌbaḌā.e  ham
terī  galiyoñ  ko  ghar  kiyā  jab  se
zindagī  ke  qarīb  aa.e  ham
saath  le  kar  makān  kyā  chalte
ghar  ko  phir  ghar  hī  chhoḌ  aa.e  ham
tujh  pe  ġhussa  the  isli.e  jānāñ
be-sabab  ḳhud  pe  tamtamā.e  ham
jab  se  ham  ban  ga.e  tirī  āñkheñ
dekh  le  roz  DabDbā.e  ham
dard  kī  aañch  ġham  kī  bhaTTī  thī
phir  sarāpā  ga.e  pakā.e  ham