Joshish Azimabadi

chashm-e-KHun-KHwar abru-e-KHamdar donon ek hain

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801

chashm-e-ḳhūñ-ḳhvār abrū-e-ḳhamdār donoñ ek haiñ

haiñ judā lekin ba-vaqt-e-kār donoñ ek haiñ

bā.is-e-ārām ye ne mojib-e-āzār vo

chashm-e-vahdat meñ gul aur ḳhaar donoñ ek haiñ

iltiyām-e-zaḳhm-e-dil ke haq meñ gar kiije nigāh

sabza-e-ḳhat marham-e-zañgār donoñ ek haiñ

hālat istiġhnā jis ke haath aa.ī hai yahāñ

us ke nazdīk andak o bisyār donoñ ek haiñ

mere us ke go judā.ī aa ga.ī hai darmiyāñ

jis ghaḌī bāham hue do-chār donoñ ek haiñ

jo na maane us ko āshiq ho ke us pe dekh le

abrū-e-ḳhamdār aur talvār donoñ ek haiñ

kyā kahūñ maiñ is ko āñkhoñ ne diye haiñ jo fareb

fann-e-makkārī meñ ye makkār donoñ ek haiñ

jo hai ka.aba vo but-ḳhāna hai shaiḳh o barhaman

is nāhaq karte ho takrār donoñ ek haiñ

ye nahīñ kahne 'joshish' hogā jo sāhib-e-dimāġh

zulf-e-yār o nāfa-e-tātār donoñ ek haiñ

Top Urdushayar.com