us  kamar  ke  ḳhayāl  meñ  haiñ  ham
baiThe  karte  haiñ  sair-e-mulk-e-adam
be-ḳhudī  ham  pe  rakhiyo  lutf-o-karam
apne  ta.iiñ  bhuul  jaa.eñ  jab  tak  ham
kyuuñ  gunahgār  ho  na  nau-e-bashar
pahle  hī  chūke  hazrat-e-ādam
aah  is  bahr  meñ  habāb  kī  tarah
apnī  bhī  zindagī  hai  koī  dam
dī  hai  dhūnī  dar-e-tavakkul  par
chhoḌ  dī  ham  ne  minnat-e-ālam
dekhne  bhī  na  paa.e  qātil  ko
zaḳhm  itne  hī  lag  ga.e  paiham
nīl-gūñ  kyuuñ  na  ho  hisār-e-rañg
hai  siyah-posh  ḳhāna-e-mātam
lutf  hotā  jo  aish  meñ  'joshish'
chhoḌ  detā  na  saltanat  ad.ham