Joshish Azimabadi

piri mein bhala DhunDhiye kya baKHt-e-jawan ko

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
piirī meñ bhalā DhūñDhiye kyā baḳht-e-javāñ ko
ab qat-e-mohabbat hī huī jism se jaañ ko
mauqūf kar is bazm meñ ye charb-zabānī
ai sham.a tū kaTvā.e hai kyuuñ apnī zabāñ ko
be-nām-o-nishānī hī baḌā nām-o-nishāñ hai
kyā nām-o-nishāñ chāhiye benām-o-nishāñ ko
is manzil-e-hastī meñ Thahartā nahīñ koī
kyā jaane ki ye qāfila jaatā hai kahāñ ko
insān to hai sūrat-e-haq ka.abe meñ kyā hai
ai shaiḳh bhalā kyuuñ na karūñ sajde butāñ ko
'joshish' gul-e-mazmūn-e-chaman tab.a kā tere
dekhe na kabhī tā-ba-abad rū-e-ḳhizāñ ko
Top Urdushayar.com