yaad  haiñ  ve  din  tujhe  ham  kaise  āvāroñ  meñ  the
ḳhaar  the  har  ābloñ  meñ  aable  ḳhāroñ  meñ  the
ai  gulābī  mast  phir  muñh  lag  ke  us  ke  is  qadar
la.al-e-lab  ke  ek  din  ham  bhī  parastāroñ  meñ  the
lab  talak  bhī  aa  nahīñ  sakte  haiñ  maare  zo.af  ke
aah  fauj-e-ġham  ke  jo  jaane  havaldāroñ  meñ  the
sāmne  kal  ḳhush-nigāhoñ  ke  jo  aayā  mar  gayā
dekhā  Tuk  kyā  hī  javāhar  un  kī  tarvāroñ  meñ  the
mere  us  ke  darmiyāñ  harf  aayā  jab  insāf  kā
phir  ga.e  ik  martaba  jitne  taraf-dāroñ  meñ  the
nāla-o-āh-o-fuġhāñ  dard-o-alam  soz-o-gudāz
aah  kaise  kaise  'joshish'  apne  ġham-ḳhvāroñ  meñ  the