Joshish Azimabadi

diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
dīvāna huuñ mujhe na tasāhul se bāñdhiye
hāthoñ ko ḳhuub rishta-e-kākul se bāñdhiye
ahl-e-chaman ko itnā pareshāñ na kījiye
bikhre hue ye baal haiñ sumbul se bāñdhiye
hargiz na hojiye kas-o-nā-kas se multajī
is ġham-kade meñ dhyān tavakkul se bāñdhiye
ye ḳhuub jāntā huuñ kasī ko karoge qatl
ḳhanjar kamar meñ aap tajāhul se bāñdhiye
is gulshan-e-jahān meñ bad-ahd haiñ sabhī
bulbul yahāñ na ahd kisī gul se bāñdhiye
ahvāl ek hai dil-e-vahshat-sarisht kā
yā juz se bāñdhiye ise yā kul se bāñdhiye
'joshish' tū is tarah kī zamīnoñ meñ yaad rakh
mazmūñ jo bāñdhiye so ta.ammul se bāñdhiye
Top Urdushayar.com