gila  to  un  ko  bhī  hai  maiñ  jinheñ  milā  hī  nahīñ
na  jaane  kitne  fasānoñ  meñ  huuñ  patā  hī  nahīñ
koī  to  pūchhe  zarā  haal  un  añdheroñ  se
ki  jin  ke  pahlū  meñ  sūraj  kabhī  ugā  hī  nahīñ
use  hai  aaj  bhī  rañj-o-malāl  ye  mujh  se
ki  dil  pe  us  kī  kisī  baat  ko  liyā  hī  nahīñ
lo  khel  khel  meñ  banñe  ko  ban  ga.ī  kashtī
magar  mizāj  samundar  kā  kuchh  patā  hī  nahīñ
vo  shor  kis  kā  thā  shab  bhar  ki  niiñd  TuuT  ga.ī
mire  sivā  to  koī  aur  ghar  meñ  thā  hī  nahīñ
huā  yuuñ  karte  haiñ  tūfāñ  se  log  ḳhauf-zada
ki  jaise  us  ke  thapeḌoñ  meñ  kuchh  mazā  hī  nahīñ
ye  nūr-e-sub.h  hai  āġhāz  sirf  ik  din  kā
vo  din  jo  shaam  guzarte  kabhī  rahā  hī  nahīñ
abhī  se  kar  na  muqarrar  tū  merā  vaqt-e-hisāb
ki  zindagī  tujhe  maiñ  ne  abhī  jiyā  hī  nahīñ
ḳhalish  jahāñ  kī  numāyāñ  haiñ  merī  ġhazloñ  meñ
vo  dard  bhī  hai  mirā  jo  mujhe  milā  hī  nahīñ