sard  mausam  kī  ḳhatā  thī  na  zamāne  kī  thī
sham.a  ko  jis  ne  bujhāyā  vo  havā  merī  thī
imtihāñ  roz  liyā  kartā  hai  merā  ab  vo
āzmāne  kī  kabhī  jis  se  guzārish  kī  thī
kar  chukā  thā  maiñ  samundar  se  kinārā  kab  kā
jis  jagah  Duubā  thā  maiñ  kahte  haiñ  sāhil  kī  thī
hijr-o-qurbat  ke  bane  itne  fasāne  kaise
chāñdnī  chhat  pe  mirī  itnī  kahāñ  bikhrī  thī
kyuuñ  tapish  mujh  meñ  hai  kyuuñ  jism  siyah  hotā  hai
rahguzar  meñ  to  mire  dhuup  kahāñ  utrī  thī
ab  koī  ḳhvāb  na  āñkhoñ  meñ  tasavvur  hai  'bashar'
varna  āñkhoñ  meñ  mirī  niiñd  kahāñ  rahtī  thī