jitnā  suljhā.ūñ  maiñ  utnī  hī  ulajh  jaatī  hai
zindagī  kaise  marāhil  pe  mujhe  laatī  hai
mujh  ko  jiine  kī  havas  hai  kabhī  marne  kā  junūñ
zindagī  merī  shab-o-roz  phisal  jaatī  hai
ḳhuub  rishta  hai  kabhī  paas  kabhī  duur  hai  vo
zindagī  apnī  hai  par  ġhair  nazar  aatī  hai
rāste  band  haiñ  manzil  hai  na  rahbar  koī
zindagī  bhī  to  usī  samt  chalī  jaatī  hai
zindagī  tujh  se  hai  bas  itnī  shikāyat  mujh  ko
tū  kisī  ġhair  meñ  kyuuñ  itnā  sukūñ  paatī  hai
zindagī  ḳhuub  hai  insāf  tirī  duniyā  kā
dard  detī  hai  magar  lab  pe  hañsī  laatī  hai