mujh  ko  us  se  najāt  bhī  na  rahī
paas  ho  kar  jo  paas  hī  na  rahī
ilm  thā  mujh  pe  jo  guzarnā  thā
guftugū  meñ  vo  baat  hī  na  rahī
raat  guzrī  hai  aaj  phir  tanhā
aaj  bhī  raat  raat  sī  na  rahī
hijr  meñ  fāsla  to  lāzim  thā
ab  to  rishte  kī  aas  hī  na  rahī
rakh  ke  mujh  ko  kahīñ  vo  bhuul  gayā
aur  merī  talāsh  bhī  na  rahī
chal  'bashar'  ḳhuuñ  kā  ghūñT  hī  pī  le
paas  meñ  ab  sharāb  bhī  na  rahī