jab  bhī  manzil  tire  dāman  meñ  simaT  jaatī  hai
zindagī  ḳhud  ko  bhī  gumnām  nazar  aatī  hai
jaise  sūraj  kī  shuāoñ  meñ  koī  chāñd  chhupe
kaun  raushan  hai  ki  mash.al  mirī  miT  jaatī  hai
ek  sāhil  huuñ  to  kyā  merā  koī  dard  nahīñ
sirf  kashtī  pe  hī  kyuuñ  sab  kī  nazar  jaatī  hai
zehn  kar  baiThā  thā  kal  shikva  shikāyat  dil  se
merī  duniyā  meñ  bhī  kyuuñ  terī  sunī  jaatī  hai
ho  na  aamad  tirī  jis  shab  to  vo  shab  shab  hī  nahīñ
niiñd  us  raat  baġhāvat  pe  utar  aatī  hai