ishva  kyuuñ  dil-rubā  nahīñ  hotā
ġhamza  kyuuñ  hashr-zā  nahīñ  hotā
āzmā.eñ  lahū  ko  rañg-e-hinā
khul  gayā  der-pā  nahīñ  hotā
jaan  dete  ho  un  ke  va.adoñ  par
jin  kā  va.ada  vafā  nahīñ  hotā
aa.ina  us  ko  detā  hai  tarġhīb
jo  koī  ḳhud-numā  nahīñ  hotā
kab  nahīñ  hotī  fikr  kis  lamha
dosh  par  tasma-pā  nahīñ  hotā
jis  kī  lau  se  chamak  uThī  hai  mizha
aisā  nāvak  ḳhatā  nahīñ  hotā
zeb-e-tan  jaama  ā.īna-paikar
koī  pahlū  chhupā  nahīñ  hotā
sañg  kah  kar  pukāriye  us  ko
dil  jo  dard-āshnā  nahīñ  hotā
khātā  hai  aadmī  nazar  ke  fareb
dīda-e-dil  jo  vā  nahīñ  hotā
naale  ko  dastaras  nahīñ  na  sahī
haath  ḳhud  kyuuñ  rasā  nahīñ  hotā