masarrat  meñ  bhī  hai  pinhāñ  alam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
surūd-e-zindagī  meñ  zer-o-bam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
ġhamoñ  se  hai  garebāñ  meñ  itā.at  kā  gilā  kyuuñ  ho
do  guuna  baar  hai  sar  par  vo  ḳham  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
tarīq-e-ḳhusravī  bhī  hai  kināya  hai  ki  mah  ham  haiñ
unheñ  zebā  hai  ham  kahnā  ye  ham  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
kamar  kī  justujū  se  kyā  dahan  kī  aarzū  kyuuñ  ho
mohabbat  ke  marāhil  meñ  adam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
lagī  haiñ  maut  par  āñkheñ  magar  hai  diid  kī  hasrat
ye  vaqt-e-naz.a  hai  āñkhoñ  meñ  dam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
qasam  khaa.ī  hai  ulfat  kī  ḳhudā  rakkhe  use  qaa.em
phañsī  hai  jaan  mushkil  meñ  qasam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
tirī  dariyā-dilī  saaqī  hamārī  tishna-kāmī  se
ḳhajil  kaise  na  ho  miinā  meñ  kam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
hasīñ  jaise  koī  mūrat  ho  dil  rakhtā  hai  patthar  kā
vo  kāfir  kyuuñ  burā  maane  sanam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
masarrat  meñ  dil-e-hirmāñ-zada  ko  ḳhauf  hai  ġham  kā
nahīñ  mumkin  mafar  ġham  se  ki  ġham  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
kareñ  mashq-e-taġhāful  yā  jafā.eñ  aap  farmā.eñ
yahāñ  taslīm  kī  ḳhū  se  karam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
nadāmat  hai  jafāoñ  par  shikāyat  par  itaab  un  ko
jabīñ  kā  haal  kyā  kahiye  ki  nam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī
muġhāñ  se  is  ko  ulfat  hai  ayaañ  chehre  se  vahshat  hai
koī  ḳhādim  se  kyā  pūchhe  ajam  yuuñ  bhī  hai  aur  yuuñ  bhī