shikva  gar  kiije  to  hotā  hai  gumāñ  taqsīr  kā
har  jafā  se  baab  khultā  hai  nayā  ta.azīr  kā
us  se  paiham  guftugū  kiije  kabhī  barham  na  ho
asl  par  bhārī  hai  pahlū  aap  kī  tasvīr  kā
dil  ke  dar  pe  haiñ  ye  donoñ  rishta-e-ham-sā.egī
gesū-e-shab-gīr  se  hai  fikr  dāman-gīr  kā
jaur  se  ghabrāne  vaale  ham  nahīñ  haiñ  dekhiye
hausla  kab  tak  javāñ  rahtā  hai  charḳh-e-pīr  kā
kis  liye  ḳhvāb-e-zuleḳhā  tishna-e-ta.abīr  hai
misr  meñ  shohra  bahut  yuuñ  to  huā  ta.abīr  kā
gholte  haiñ  kis  liye  vo  chashma-e-haivāñ  meñ  zahr
kaam  lete  haiñ  tabassum  se  vo  kyuuñ  tahqīr  kā
kaash  merī  kah  rahe  haiñ  sabza-o-dasht-o-daman
lāla-o-barg-o-saman  aalam  hai  ye  kashmīr  kā
naaz  se  dekhā  hai  ḳhāliq  ne  miTāte  bārhā
nāḳhun-e-tadbīr  ko  likkhā  huā  taqdīr  kā
ḳhaak  se  kar  ḳhāksārī  se  riyāzat  se  araq
aarzū  kī  aañch  de  nusḳha  hai  ye  iksīr  kā
hasratoñ  se  is  tarah  rah  rah  ke  hotī  hai  ḳhalish
TuuT  jaa.e  lag  ke  dil  meñ  jaise  paikāñ  tiir  kā
sher  meñ  'iqbāl'  kā  shaidā  hai  'ġhālib'  kā  asiir
'hāmid'-e-be-bahra-go  munkir  nahīñ  hai  miir  kā