muskurāne  se  mudda.ā  kyā  hai
kah  rahe  haiñ  tumheñ  huā  kyā  hai
pairahan  adl  kā  pahan  aa.ī
kaun  mazlūm  hai  jafā  kyā  hai
shikve  ke  naam  se  hī  barham  haiñ
ye  nahīñ  pūchhte  gilā  kyā  hai
Daal  dī  jis  ke  hausle  ne  sipar
vo  tunak-ārzū  jiyā  kyā  hai
ḳhidmat-e-bandagān-e-haq  ke  sivā
is  ḳharābe  meñ  kīmiyā  kyā  hai
sādgī  meñ  hazār  purkārī
bāñkpan  meñ  chhupā  huā  kyā  hai
izzat-e-nafs  rakh  sako  mahfūz
aur  is  ke  sivā  duā  kyā  hai
saaf  do-pāT  āsmān-o-zamīñ
daana  ġhāfil  hai  āsiyā  kyā  hai