fard  ko  asr  kī  raftār  liye  phirtī  hai
jins  ko  garmī-e-bāzār  liye  phirtī  hai
par-e-parvāz  se  inkār  nahīñ  hai  lekin
kījiye  ġhaur  to  minqār  liye  phirtī  hai
us  kī  qismat  meñ  rasā.ī  na  sahī  āshiq  ko
hasrat-e-lazzat-e-iz.hār  liye  phirtī  hai
tālib-e-ilm  ko  idrāk-e-fazīlat  ke  bajā.e
ḳhvāhish-e-turra-o-dastār  liye  phirtī  hai
donoñ  Tāñgoñ  kā  ishāra  hai  ki  gardish  ham  ko
har  taraf  sūrat-e-parkār  liye  phirtī  hai
ek  lamhe  ke  liye  bhī  nahīñ  miltā  hai  sukūñ
gardish-e-gumbad-e-davvār  liye  phirtī  hai
hathkaḌī  jaise  lagāte  haiñ  asīroñ  ko  vo  zulf
kar  ke  halqe  meñ  giraftār  liye  phirtī  hai
tauf  meñ  fart-e-tarab  se  hai  zamīñ  charḳh-e-zanāñ
sāya-e-gesū-o-ruḳhsār  liye  phirtī  hai
jism  ke  bojh  ko  āġhāz  se  anjām  talak
garche  hai  ruuh  girāñ-bār  liye  phirtī  hai
is  ko  Thahrā.e  hue  qasr-e-baqā  kī  buniyād
zindagī  saañs  kā  ik  taar  liye  phirtī  hai