Pirzada Qasim

dard hai ki naghma hai faisla kiya jae

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
dard hai ki naġhma hai faisla kiyā jaa.e
ya.anī dil kī dhaḌkan par ġhaur kar liyā jaa.e
aap kitne saada haiñ chāhte haiñ bas itnā
zulm ke añdhere ko raat kah diyā jaa.e
aaj sab haiñ be-qīmat girya bhī tabassum bhī
dil meñ hañs liyā jaa.e dil meñ ro liyā jaa.e
be-hisī kī duniyā se do savāl mere bhī
kab talak jiyā jaa.e aur kyoñ jiyā jaa.e
ab to faqr-o-fāqa kī aabrū isī se hai
taar taar dāman ko kyoñ bhalā siyā jaa.e
Top Urdushayar.com