maiñ  kab  se  apnī  talāsh  meñ  huuñ  milā  nahīñ  huuñ
savāl  ye  hai  ki  maiñ  kahīñ  huuñ  bhī  yā  nahīñ  huuñ
ye  mere  hone  se  aur  na  hone  se  munkashif  hai
ki  razm-e-hastī  meñ  kyā  huuñ  maiñ  aur  kyā  nahīñ  huuñ
maiñ  shab  nizhādoñ  meñ  sub.h-e-fardā  kī  aarzū  huuñ
maiñ  apne  imkāñ  meñ  raushnī  huuñ  sabā  nahīñ  huuñ
gulāb  kī  tarah  ishq  merā  mahak  rahā  hai
magar  abhī  us  kī  kisht-e-dil  meñ  khilā  nahīñ  huuñ
na  jaane  kitne  ḳhudāoñ  ke  darmiyāñ  huuñ  lekin
abhī  maiñ  apne  hī  haal  meñ  huuñ  ḳhudā  nahīñ  huuñ
kabhī  to  iqbāl-mand  hogī  mirī  mohabbat
nahīñ  hai  imkāñ  koī  magar  māntā  nahīñ  huuñ
havāoñ  kī  dastaras  meñ  kab  huuñ  jo  bujh  rahūñgā
maiñ  isti.āra  huuñ  raushnī  kā  diyā  nahīñ  huuñ
maiñ  apnī  hī  aarzū  kī  chashm-e-malāl  meñ  huuñ
khulā  hai  dar  ḳhvāb  kā  magar  dekhtā  nahīñ  huuñ
udhar  tasalsul  se  shab  kī  yalġhār  hai  idhar  maiñ
bujhā  nahīñ  huuñ  bujhā  nahīñ  huuñ  bujhā  nahīñ  huuñ
bahut  zarūrī  hai  ahd-e-nau  ko  javāb  denā
so  tīkhe  lahje  meñ  boltā  huuñ  ḳhafā  nahīñ  huuñ