vo  ek  ḳhvāb  jo  dekhā  gayā  thā  ujlat  meñ
usī  kā  karb  sameTā  hai  aaj  fursat  meñ
ye  baat  sach  hai  ki  begār  to  nahīñ  ye  hayāt
ki  ham  ko  zaḳhm-e-tamannā  mile  haiñ  ujrat  meñ
ziyāñ  yahī  hai  ki  kuchh  aur  sūjhtā  hī  nahīñ
bas  ek  dhyān  meñ  rahte  haiñ  log  shohrat  meñ
hunar  kaho  ki  karāmat  magar  yahī  hai  ki  ham
ḳhushī  ko  Dhaal  bhī  sakte  haiñ  ġham  kī  sūrat  meñ
zamīn  jiitī  hai  yā  sarzamīn-e-dil  us  ne
savāl  tishna  rahā  jashn-e-fat.h-o-nusrat  meñ