Pirzada Qasim

ghar ki jab yaad sada de to palaT kar aa jaen

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
ghar kī jab yaad sadā de to palaT kar aa jaa.eñ
kaash ham apnī hī ḳhvāhish ko mayassar aa jaa.eñ
hai karāmat mire dil kī tire nāvak meñ nahīñ
vaar ho ek magar zaḳhm bahattar aa jaa.eñ
guftugū aaj to do Tok karegā sūraj
zill-e-sub.hānī shabistān se bāhar aa jaa.eñ
shab ko yalġhār-e-tafakkur se jo bach niklūñ maiñ
sub.h-dam taaza ḳhayālāt ke lashkar aa jaa.eñ
itnī saffāk samā.at bhī ġhazab hai ki jahāñ
baat puurī bhī na ho hāthoñ meñ patthar aa jaa.eñ
Top Urdushayar.com