Pirzada Qasim

ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
ayaañ ham par na hone kī ḳhushī hone lagī hai
diye meñ ik na.ī sī raushnī hone lagī hai
na.ī kuchh hasrateñ dil meñ baserā kar rahī haiñ
bahut ābād ab dil kī galī hone lagī hai
so tai paayā masā.ib zindagī ke kam na hoñge
magar kam zindagī se zindagī hone lagī hai
udhar tār-e-nafas se aa milī hai raunaq-e-zīst
idhar kam mohlatī meñ bhī kamī hone lagī hai
sar-e-āġhāz dil kī dāstāñ meñ vo nahīñ thā
magar mahsūs ab us kī kamī hone lagī hai
hamārī dostī kā dam bhareñ aise kahāñ haiñ
zamāne sab se terī dostī hone lagī hai
Top Urdushayar.com