Muntazir Qaimi

mausam-e-hijrat mein jo apnon se begane rahe

Muntazir Qaimi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1976
mausam-e-hijrat meñ jo apnoñ se begāne rahe
vo shab-e-zulmat meñ kitne jaane pahchāne rahe
hosh vāloñ ko tamāshe dekhte hī muntazir
dil pe patthar rakh ke ham ik umr dīvāne rahe
fāteh-e-shab kī havas meñ raushnī pe mar miTe
ḳhud-kushī kī aaḌ meñ be-ḳhauf parvāne rahe
taj ke dar terā mirī āvārgī jaatī kahāñ
vo to kahiye shahr meñ be-laus mai-ḳhāne rahe
na hasīñ ḳhvāboñ kā mausam aur na gul kī aarzū
itnī māyūsī meñ bhī ham zindagī taane rahe
be-niyāz-e-dahr ho kar ishq ham karte rahe
aur zamāne ke laboñ par sirf afsāne rahe
ik nazar meñ luT gayā thā dil kā shahr-e-ārzū
zindagī meñ duur tak ḳhvāboñ ke vīrāne rahe
Top Urdushayar.com