Nasira Zuberi

kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya

Nasira Zuberi

kāġhzī kashtī kī aamad kā ishāra mil gayā
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā mil gayā
ho gayā shāmil ġharaz kā rañg mauj-e-ishq meñ
jhiil ke nithre hue paanī meñ gaarā mil gayā
ghul ga.ī betābī-e-dil vaqt ke mahlūl meñ
zabt ke Thahre hue paanī meñ paara mil gayā
dil ke kārobār meñ hāsil kī koī shart hai
mil gayā is raah meñ jis ko ḳhasāra mil gayā
nā-mukammal ḳhvāhishoñ kā dard kho dene ke ba.ad
yuuñ huā phir vo mujhe saare kā saarā mil gayā
rakh chukā hai rehn vo pahle hī apnī raushnī
kis sitāre se mire dil kā sitāra mil gayā
ḳhud luTā kar chhoḌ aa.e jis kī ḳhātir kārvāñ
rahzanoñ ke saath vo rahbar hamārā mil gayā
kho gayā vo kis tarah jis ko kabhī paayā nahīñ
jis ko paayā hī nahīñ kaise dobāra mil gayā
sabz parcham ko milī āzād mausam kī havā
ham ko apnī sar zamīñ kā chāñd taara mil gayā
Top Urdushayar.com