Jaleel Hashmi

log kyun humse shikayat ki tawaqqo rakhen

Jaleel Hashmi

log kyuuñ ham se shikāyat kī tavaqqo rakheñ
haiñ ḳhud-āzār bhī itne ki sitamgar ro.eñ
ab to aatī haiñ kuchh is tarah tumhārī yādeñ
dhuup meñ jaise kisī chehre se bādal guzreñ
mātam-e-ġhuncha meñ ro.e haiñ nadāmat hai bahut
shiddat-e-ġham meñ rahā pās-e-tabassum na hameñ
ab ġham-e-dil kā safīna hai ki dariyā māñge
aur ye ronā hai ki aañsū bhī nahīñ āñkhoñ meñ
ham se lipTī huī talvār ho jaise yaaro
ik nayā zaḳhm sulagtā hai jo karvaT badleñ
tujh ko dekhā jo na hotā to ḳhudā kah lete
ye bhī mushkil nazar aatā hai ki patthar pūjeñ
vo karam hai tirā sāñsoñ meñ sunā.ī denā
ye sitam hai ki tujhe DhūñDh rahī haiñ āñkheñ
'hashamī' jism nazar aatā hai suulī kī tarah
jab masīhā ke liye pyaar se baazū kholīñ
Top Urdushayar.com