Jaleel Hashmi

KHak un galiyon ki palkon se bahut chhani thi

Jaleel Hashmi

ḳhaak un galiyoñ kī palkoñ se bahut chhānī thī
phir bhī sūrat mirī is shahar meñ an-jānī thī
ham bhī kuchh apnī vafāoñ pe hue the nādim
un ko bhī tark-e-ta.alluq pe pashemānī thī
ḳhud-farebī to alag baat hai varna ham ne
apnī sūrat kahāñ ā.īne meñ pahchānī thī
zindagī sañg banī thī tujhe ruḳhsat kar ke
dil na dhaḌkā thā to marne meñ bhī āsānī thī
hādisa saḳht thā jāñkāh thā ab ke yaaro
varna ham ne to kabhī haar nahīñ maanī thī
rah ga.ī raah meñ yuuñ sharm-e-shikasta-pā.ī
kyā Thaharte kahīñ vo be-sar-o-sāmānī thī
nā-rasā.ī koī kis aañkh se dekhe apnī
ham bhī TuuTe hue par, raat bhī tūfānī thī
gul huī sham.a to dāman bhaḌak uTThā 'hashamī'
jab nazar bujh ga.ī vīrānī hī vīrānī thī
Top Urdushayar.com