Jaleel Hashmi

shaKHcha KHak-e-gulistan mein paDa hai yaro

Jaleel Hashmi

shāḳhcha ḳhāk-e-gulistāñ meñ paḌā hai yaaro
us se ehsān-e-bahārāñ na uThā hai yaaro
tum ne pūchhā hai na kuchh ham ne kahā hai yaaro
hādisa ham pe jo guzrā hai to kyā hai yaaro
kar gayā ḳhaak hameñ ruḳhsat-e-gul kā manzar
zaḳhm-e-nazzāra magar ab bhī harā hai yaaro
maryam-e-shām khule baal phir aatī dekho
phir masīhā koī suulī pe chaḌhā hai yaaro
raat añdherī sahī māyūs nahīñ nuur se ham
ashk palkoñ pe abhī kaañp rahā hai yaaro
ab mirī shab mire ashkoñ se rahegī raushan
shaam ke vaqt diyā merā bujhā hai yaaro
sāmne aate ho ab ajnabiyoñ kī sūrat
ye bhī shāyad koī yaarī kī adā hai yaaro
paañv haiñ ḳhaak pe ḳhurshīd pe saaya us kā
'hashamī' khoj meñ ye kis kī chalā hai yaaro
Top Urdushayar.com