ik  rañg  sā  chhalkā  thā  magar  baas  na  aa.ī
vo  mauj-e-guzishta  bhī  koī  ḳhaas  na  aa.ī
is  baat  pe  hujjat  haiñ  chahakte  hue  qarye
har  shaḳhs  ko  jañgal  kī  fazā  raas  na  aa.ī
ḳhuuñ  ho  ke  agarche  dil-e-sad-chāk  bhī  Tapkā
hāthoñ  meñ  va-lekin  rag-e-ehsās  na  aa.ī
tab  rañj  khule  dhuup  gañvā  dene  ke  ham  par
in  sīm-zada  kunjoñ  meñ  jab  ghaas  na  aa.ī
paanī  bhī  alag  chhān  ke  rakkhā  thā  lahū  se
lekin  kisī  pairā.e  meñ  ik  pyaas  na  aa.ī
sau  baar  charāġhoñ  ko  muñDeroñ  pe  dharā  hai
āñkhoñ  ke  jharokoñ  meñ  koī  aas  na  aa.ī
ai  bād-e-sabā  mauj-e-pareshāñ  na  huā  kar
tū  duur  kahāñ  thī  ki  mire  paas  na  aa.ī