ho  ke  ā.īna  muqābil  bhī  rahā  rad  ki  nahīñ
darmiyāñ  aaj  bhī  hai  hijr  kī  sarhad  ki  nahīñ
dil-barāñ  yūñhī  na  thī  kufr-parastī  dil  kī
ftina-e-sub.h-e-qayāmat  hai  tirā  qad  ki  nahīñ
haañ  batā  vahm  se  katrā.e  hue  husn-e-yaqīñ
nañg-e-tahqīq  huī  rasm-e-ab-o-jad  ki  nahīñ
dil  se  us  rashk-e-charāġh-e-harm-o-dair  ke  ba.ad
hai  vahī  vahshat-e-tārīkī-e-ma.abad  kī  nahīñ
zindagī  aaj  talak  merī  tamannā-gah  meñ
tere  kuchh  kaam  bhī  aa.ī  hai  ḳhushāmad  ki  nahīñ
hairateñ  aap  bhulā  baiThī  thiiñ  tai  kar  ke  jinheñ
ā.ina-ḳhānoñ  meñ  raa.ij  hai  vo  abjad  ki  nahīñ
ishq  meñ  kaun  muqābil  thā  mire  kis  pe  khule
mansab-e-qais  kī  ḳhvāhāñ  hai  ye  masnad  ki  nahīñ