ham  ki  the  ḳhush-fahm  din  kī  be-panāhī  dekh  kar
haath  malte  rah  ga.e  shab  kī  siyāhī  dekh  kar
kaun  dāman  dekhtā  hai  kaun  suntā  hai  dalīl
jurm  sābit  ho  rahā  hai  be-gunāhī  dekh  kar
ham  na  kahte  the  dinoñ  meñ  ik  hamārā  din  bhī  hai
din  badalte  haiñ  hamārī  dād-ḳhvāhī  dekh  kar
dilbarī  se  ḳhud-parastī  ne  rakhā  nā-āshnā
rukte  rukte  ruk  ga.e  ham  kam-nigāhī  dekh  kar
harf-e-be-ma.anī  se  behtar  hai  navā-e-be-sadā
ro  paḌā  maiñ  vaqt  kī  vīrāñ-nigāhī  dekh  kar
ḳhaak  par  likkhe  ga.e  ham  ḳhaak  par  rakkhe  ga.e
lahlahā.e  sabzagī  kī  ḳhush-giyāhī  dekh  kar
dil-nashīñ  hai  ġhuncha-e-nau-vaqt  lekin  kab  talak
dil  lahū  hai  shāḳh-e-gul  kī  kaj-kulāhī  dekh  kar
kitne  aise  dard  haiñ  jin  kī  davā  chāhī  ga.ī
sochtā  huuñ  zaḳhm-e-dil  kī  bār-gāhī  dekh  kar
dīda-e-sailāb-jū  kī  dasht-pairā.ī  ḳhumār
ālam-e-ḳhāshāk  kī  dekhī  tabāhī  dekh  kar