har  chand  ki  laa.e  the  jigar  chiir  ke  motī
arzāñ  hī  rahe  nāla-e-shab-gīr  ke  motī
ik  maañ  ne  bilakte  hue  bachchoñ  ke  liye  shab
beche  kisī  bāzār  meñ  tauqīr  ke  motī
har  rañg  jamāte  haiñ  yaqīñ-tāb  badan  kā
in  ḳhvāb  se  hoñToñ  pe  asātīr  ke  motī
dahlīz-e-mohabbat  se  sameTe  haiñ  hamesha
taare  kisī  shīrīñ  ke  kisī  hiir  ke  motī
ḳhāmoshī  kahegī  ḳhalish-e-jāñ  kā  fasāna
palkoñ  se  chune  jā.eñge  tāsīr  ke  motī
zulmat-kada-e-fikr  meñ  tābāñ  haiñ  azal  se
ġhālib  ke  kahīñ  'mīr'-taqī-'mīr'  ke  motī
kaafī  se  ziyāda  hai  ye  tāvān  junūñ  kā
haiñ  kāsa-e-zānū  meñ  jo  zanjīr  ke  motī
ho  jā.eñge  mujh  aise  siyahkār  kī  ḳhātir
baḳhshish  kā  vasīla  ġham-e-shabbīr  ke  motī