hikāyatoñ  se  fasānoñ  se  ret  uḌtī  hai
yahāñ  qadīm  zamānoñ  se  ret  uḌtī  hai
nasheb-e-jāñ  se  umaDte  haiñ  tāza-rau  dariyā
buland-bām  makānoñ  se  ret  uḌtī  hai
lapak  alag  hai  chamak  aur  hai  lalak  hai  judā
ye  kaisī  kaisī  uThānoñ  se  ret  uḌtī  hai
yahāñ  kitāboñ  se  jhaḌtī  haiñ  bhurnhurī  sadiyāñ
aur  ek  shelf  ke  ḳhānoñ  se  ret  uḌtī  hai
ba-najd  ḳhātir-e-majnūñ  varā-e-shauq-o-junūñ
uḌe  to  kitne  bahānoñ  se  ret  uḌtī  hai
hamārī  naqsh-numā.ī  ko  chāTne  ke  liye
tire  tamām  jahānoñ  se  ret  uḌtī  hai
yahīñ  kahīñ  the  vo  lahreñ  uchhālne  vaale
hamāre  dil  meñ  zamānoñ  se  ret  uḌtī  hai