nam-e-tarsīl  ke  sotoñ  ko  chhupā.e  rakkhā
mujh  samā.at  ne  sadāoñ  ko  chhupā.e  rakkhā
peḌ  jalte  rahe  āvāra  rahī  gard-e-malāl
dhuup  ne  abr  kī  chhāñv  ko  chhupā.e  rakkhā
taaq  thā  ḳhvāb  thā  tanhā.ī  thī  tārīkī  thī
raat  ne  sirf  charāġhoñ  ko  chhupā.e  rakkhā
ishq  meñ  ham  ne  tamannāoñ  kī  vahdat  ke  liye
ek  duuje  se  mizājoñ  ko  chhupā.e  rakkhā
ai  chaman-zād-e-shafaq  nāz-e-gul-e-sarv-ḳhayāl
ham  ne  ḳhud  meñ  tire  ḳhvāboñ  ko  chhupā.e  rakkhā
ai  yaqīñ-tāb-badan  terī  tarāshīdagī  se
maiñ  ne  jhaḌtī  huī  poroñ  ko  chhupā.e  rakkhā
dhuup  ujlā.e  mirā  chehra  ki  maiñ  bhī  sochūñ
saa.e  ne  kaise  ḳharāshoñ  ko  chhupā.e  rakkhā