kahāñ  sambhalte  haiñ  bahte  hue  bahāv  meñ  log
magar  jo  zaḳhm  uThā.eñge  is  chunāv  meñ  log
tumhāre  nīm-tabassum  se  saaf  zāhir  hai
ham  aise  maar  diye  jaa.eñ  rakh-rakhāv  meñ  log
ye  mere  haq  meñ  lagātār  bolte  hue  ab
kisī  natīje  pe  pahuñche  tire  dabāv  meñ  log
dahak  rahā  hai  abhī  se  ruḳh-e-ziyāñ-kārī
safar  kā  jā.eza  leñge  kisī  paḌāv  meñ  log
kahānī  jab  kahīñ  dhuñdlā  ke  naqsh  khone  lage
sarāpā  dekh  liyā  karte  haiñ  alaav  meñ  log
tū  apne  vaqt  kā  yūsuf  hai  aur  sar-e-bāzār
tujhe  gañvā  hī  na  deñ  aise  bhāv-tāv  meñ  log