jo  āñsuoñ  ko  na  chamkā.e  vo  ḳhushī  kyā  hai
na  aa.e  maut  pe  ġhālib  to  zindagī  kyā  hai
hameñ  ḳhabar  hai  na  apnī  na  ahl-e-duniyā  kī
koī  batā.e  ye  andāz-e-be-ḳhudī  kyā  hai
maiñ  saath  detā  huuñ  yāroñ  kā  hadd-e-manzil  tak
maiñ  jāntā  nahīñ  dastūr-e-rah-ravī  kyā  hai
tire  ḳhayāl  meñ  din-rāt  mast  rahtā  huuñ
ye  bandagī  jo  nahīñ  hai  to  bandagī  kyā  hai
tire  karam  se  mayassar  hai  daulat-e-kaunain
tirā  karam  hai  jabhī  tak  mujhe  kamī  kyā  hai
na.e  purāne  nasheman  sabhī  jalā  kar  ab
nigāh-e-barq  khaḌī  duur  tāktī  kyā  hai
kisī  kī  chashm-e-karam  aap  par  nahīñ  to  kyuuñ
ye  ḳhud  se  pochhiye  kirdār  meñ  kamī  kyā  hai
na  aa.ī  jāgtī  āñkhoñ  ke  dā.ere  meñ  kabhī
ye  bad-nasīb  kā  ik  ḳhvāb  hai  ḳhushī  kyā  hai
jo  baat  kahtā  huuñ  karte  haiñ  us  pe  harf-zanī
ye  dostī  hai  to  andāz-e-dushmanī  kyā  hai
qadam  qadam  pe  kiye  'charḳh'  zindagī  ne  mazāq
samajh  meñ  aa  na  sakā  qasd-e-zindagī  kyā  hai